🌱 Top 7 Easy-Care Plants for Your Urban Jungle Home
Aaj ke busy lifestyle me har kisi ko greenery pasand hai, lekin har koi daily care nahi kar pata. Isi liye hum lekar aaye hain 7 aise plants jo low-maintenance hote hain aur beginners ke liye perfect hai.
1. Snake Plant (Sansevieria)
Fayda: Air purifier plant hai, raat me bhi oxygen deta hai.
Care: Mahine me 2–3 baar pani dena kaafi hai.
2. Money Plant
Fayda: Ghar me prosperity aur positivity laata hai.
Care: Water bottle me bhi grow ho jata hai, sunlight me rakhna zaruri hai.
3. Aloe Vera
Fayda: Skin aur health dono ke liye useful.
Care: Zyada paani bilkul na dena, sirf jab mitti dry ho tabhi paani do.
4. Spider Plant
Fayda: Pollution aur dust ko absorb karta hai.
Care: Indoor rakhne ke liye best, weekly ek baar pani do.
5. Jade Plant
Fayda: Good luck aur wealth attract karta hai.
Care: Direct sunlight me rakho aur kam paani do.
6. Peace Lily
Fayda: Beautiful white flowers deta hai aur air fresh karta hai.
Care: Bright indoor light me rakho, weekly 2–3 baar pani do.
7. Cactus
Fayda: Modern decor ke liye perfect aur zero-maintenance.
Care: Mahine me sirf 1–2 baar paani do, direct sunlight me rakho.